Podcast charts
Published by Anant Bhardwaj
Aap sun rahe hain Gumnam Saya… jahan kahaniyaan sirf suni nahi jaati, mehsoos karwayi jaati hain. Main hoon Anant Bhardwaj, aur main poori koshish karunga aapko darane ki… lekin yeh sirf horror nahi hai—yeh ek psychological thriller hai, jahan har awaaz, har sannata aur har parchaai ke peeche kuch chhupa ho sakta hai. Is show mein aapko milengi real horror stories “If you have any of your horror experience please share it on my instagram:- @1an4nt ,dms are always open” Tags👇 horror stories in hindi, hindi horror podcast, psychological thriller hindi, scary stories hindi, bhoot story hindi,
On the charts
Every published chart this podcast appears in, in the snapshot behind this page. Each one links to the chart it came off.
The Mato Topic Intelligence Platform does not report this podcast as charting in a published category in this snapshot.
From the feed
The latest episodes published to this podcast’s own RSS feed. Titles and descriptions are the publisher’s.
रात के 1:47 पर रोहन को एक unknown Discord user से webcam link मिलता है। शुरुआत में उसे ये सिर्फ एक creepy prank लगता है… लेकिन जैसे ही वो stream join करता है… उसे एहसास होता है कि दूसरी तरफ कोई इंसान नहीं… कुछ और बैठा है। एक ऐसा livestream… जो देखने वालों को धीरे-धीरे अपने अंदर खींच लेता है। Webcam के पीछे आखिर कौन था? और क्यों हर viewer अचानक गायब होने लगा? सुनिए Episode 7 “THE BLACK WEBCAM” सिर्फ Gumnam Saya में… Anant Bhardwaj के साथ। Headphones लगाकर सुनना… और अगर रात के 1:47 पर कोई unknown link आए… तो उसे कभी मत खोलना . Follow me on instagram:- https://www.instagram.com/1an4nt?igsh=cnd6bjRtYXRsZ3B5&utm_source=qr please share if you have any feedbacks or horror experience on :- nanty141@gmail.com
रात के 3 बजे… आदित्य को एक unknown number से 66 second का voice note मिलता है। शुरुआत में उसे ये सिर्फ एक prank लगता है… लेकिन जैसे-जैसे वो हर नया voice note सुनता है… उसके आसपास अजीब घटनाएँ शुरू होने लगती हैं। जिन लोगों ने वो audio सुना… वो एक-एक करके गायब होने लगे। आखिर उन voice notes के पीछे कौन था? और हर audio में आदित्य की ही आवाज क्यों सुनाई दे रही थी? सुनिए Episode 6 “The 3AM Podcast | Voice Note 66” सिर्फ Gumnam Saya में… Anant Bhardwaj के साथ। Headphones लगाकर सुनना… अगर हिम्मत हो तो। Follow me on instagram:- https://www.instagram.com/1an4nt?igsh=cnd6bjRtYXRsZ3B5&utm_source=qr please share if you have any feedbacks or horror experience on :- nanty141@gmail.com
NH-24 par ek aisi jagah hai jahan log rukte nahi…balki rok liye jaate hain.Shivam sirf ek chhota sa break lena chahta tha…lekin usse nahi pata tha ki us raat woh ek aisi jagah enter karne wala hai jahan se koi wapas nahi aata.The राजाजी Hotel…ek aisa hotel jo shayad exist hi nahi karta…ya shayad sirf un logon ke liye hota hai jo apni manzil tak kabhi pahunch hi nahi paate.Jaise-jaise raat badhti hai,waise-waise sach saamne aata hai…aur darr aur gehra hota jata hai.Kya Shivam sach mein zinda hai…ya woh kab ka mar chuka hai?Aur agar hotel sach mein nahi hai…toh phir woh jagah kya hai?Agar aap raat mein travel karte hain…toh iss kahani ko zaroor suniye…kyunki shayad agli baar rukne wala aap ho.Sunte rahiye Gumnam Saya Anant Bhardwaj ke saath.
Old Merry School ki kahani apne aakhri mod par pahunch chuki hai.Is baar sach saamne aayega.Lekin kya sach jaanne ke baad bach paoge?Aditya ko aakhir yaad aa hi jata hai us raat ka sach…jab ek galti ne sab kuch badal diya tha.Yash ka asli roop kya hai?Kya woh sach mein Yash hai…ya koi aur?Aur sabse bada sawaal…Udit ke saath us raat kya hua tha?Jaise-jaise sach saamne aata hai,waise-waise darr aur gehra hota jata hai.Kuch raaz dabaaye ja sakte hain…lekin kabhi mitaye nahi ja sakte.Kuch sazaayein maut se bhi zyada darawni hoti hain.Kya Aditya iss darr se bach payega…ya hamesha ke liye usi school ka hissa ban jayega?Aur Udit…aakhir woh gayab kahan ho gaya?Aaj tak koi nahi jaanta.Agar aapne pehle episodes nahi sune,toh pehle Episode 1,2 aur 3 zaroor suniye.Is finale ko miss mat kijiye…kyunki har sach ka ek anjaam hota hai.Sunte rahiye Gumnam Saya Anant Bhardwaj ke saath.
Is episode mein darr aur gehra ho jaata hai… Aditya ko ab sirf sapne nahi aa rahe, balki kuch aisa dikh raha hai jo shayad real bhi ho sakta hai. Raat ke andhere mein ek ajeeb si awaaz… aur phir mirror mein dikhne wala woh saya… jo har baar aur kareeb aa raha hai. Subah sab normal lagta hai, lekin andar kuch badal chuka hota hai. School wapas jaane par Yash ka behaviour aur bhi ajeeb ho jaata hai… jaise usse sab pata ho. Aur phir… Udit ke saath jo hota hai… woh sab kuch badal deta hai. Ek pal mein woh gayab ho jaata hai… lekin kya woh sach mein gaya… ya ab bhi wahi kahin maujood hai? 🎧 Headphones lagao, lights band karo… aur khud decide karo.
Iss episode mein kahani aur zyada dark ho jaati hai… Udit ke peeche jo tha, woh sirf darr nahi tha… kuch aur bhi tha jo unke saath school se bahar tak aa gaya. Aditya jab hosh mein aata hai, sab normal lagta hai… lekin Yash ka behavior ab pehle jaisa nahi hai. Uski aankhon mein kuch alag hai… kuch aisa jo samajh nahi aa raha. Aur jab school ke bahar ek security guard unse “swimming pool” ke baare mein poochta hai… toh sab kuch badal jaata hai. Kyunki yeh baat un teen ke alawa kisi ko nahi pata thi… ya shayad… kisi aur ko bhi pata tha. Kya us raat woh sach mein akela the… ya koi aur bhi unke saath tha? 🎧 Headphones lagao, lights band karo… aur khud decide karo. Next episode kal aa raha hai… 😈🎧 Agar aapke pass koi horror experience hai ya koi feedback hai toh please mera insta:- @1an4nt par share karein ya fir mail me at anantbhardwajx1@gmail.com.
Ek naya student school mein aata hai… naam Yash. Sab kuch normal lagta hai, lekin uske aane ke baad kuch ajeeb hone lagta hai. Ek simple introduction… ek galat naam… aur phir ek aisa moment jo sab kuch badal deta hai. Jab Udit washroom se bhaagte hue bahar aata hai, uski aankhon mein sirf darr hota hai… lekin asli sawaal yeh hai—usne wahan dekha kya? Aur jab Aditya peeche mudh kar dekhta hai… toh shayad woh akela nahi hota. Headphones lagao, lights band karo… aur volume 60–70% par rakho. Kyuki Old Merry School mein… darr kabhi akela nahi aata. Next episode kal aa raha hai… 😈🎧 Agar aapke pass koi horror experience hai ya koi feedback hai toh please mera insta:- @1an4nt par share karein ya fir mail me at anantbhardwajx1@gmail.com.
Ranking source
Apple Podcasts rankings via the Mato Topic Intelligence Platform.
Observed September 7, 2026. Cached outside the daily freshness window; the positions keep the date they were taken on.
Apple and Apple Podcasts are trademarks of Apple Inc., registered in the U.S. and other countries.
Pairs with
Bring this source into Mato to read its transferable patterns, then turn them into an original show for your own audience.